Mushat zani Kiya Hoti Musht zani Ka ilaj
Apne hathoon ya dosre ghalat tareeqoon say Mani kharij karna insani sehat aor azaa tanasal ko sakht nuqsan pohnchata hai.Hamare muashra ke aksar no jawan is buri aadat ka shikar ho jate hain.Un ko musht zani aor is qisam ki dosri buri aadtein par jati hain jo un ki jinsi zindagi aor jismani sehat keleye tabah kun sabit hoti hain.Jinsi azaa is qabil nahein rahte keh wo thek tarah say Mubashrat kar sakein.Zakar ki hiss barh jati hai aor har waqt Mubashrat ki khawahish rahne lagti hai.Is tarah Jaryaan aor Ehtalam ki beemariaan bhi paida ho jati hain.Nizam e Inhazaam kharab ho jata hai.Ju’nhi musht zani ki khwahish paeda ho to foran na karein bul kay usey adha ghanta late kar lein.
Musht zani ko control karney ka sab sey mu’asser aur aasan zarya shadi hai. Jab fard shadi kar leta hai to phir uski mani kharij hoti rehti hai jis ki wajah sey woh musht zani karney per majboor nahin hota. Shaadi kay ba’ad yeh aadat khud ba khud khatam ho jati hai. Isliye Allah kay Nabi ney jald shaadi karney ki taakeed farmaee hai.
Is buri aadat ke nateje mein nojawan zinda lash ban kar rah jata hai aor pher naam nehaad Health Centers ke chakkar mein par jata hai jo chand khorakoon say Nai Jawani wapas lane ka wada karte hain.In ke chakkar mein par kar na serf nojawan apni sehat barbad karte hain balke apni raqam bhi barbad karte hain.Khelon ki taraf zyada tawajjuh dii jaey. Pasandeeda khelon mein hissa liye jaey. Agar fard khelon mein bharpoor hissa ley to uski tawajjuh sex ki taraf kam ho jati hai, aur musht zani ki ta’adaad (frequency) bohut kam ho jati hai.
Yeh bohut hi mu’asser tariqa hai, agar isey munasib tor per istemal kya jaey to musht zani ko aasani sey control kya ja sakta hai.
Musht zani ko control karney ka sab sey mu’asser aur aasan zarya shadi hai. Jab fard shadi kar leta hai to phir uski mani kharij hoti rehti hai jis ki wajah sey woh musht zani karney per majboor nahin hota. Shaadi kay ba’ad yeh aadat khud ba khud khatam ho jati hai. Isliye Allah kay Nabi ney jald shaadi karney ki taakeed farmaee hai.Gandi filmein, kahaniya’n, fahash kutub, tasaweer, naghmaat aur suhbat sey bachein. Yeh cheezein fard mein jinsi haejaan paeda karti hain aur phir fard musht zani karney per majboor ho jata hai.Aksar naujawan ek khaas ta’adaad mein musht zani kartey hain maslan haftey mein do baar waghaera aaenda sey iss ki ta’adaad kam kardein to aap ka control barh jaey ga.Masbat mashagil (hobbies) ko ikhtiyar kya jaey, laziman kuch waqt rozana sehat mand mashaghil mein sarf kya jaey, iss sey khud lazzati ki taraf tawajjuh kam ho jaey gi.
Rafah e aamma kay kaamo’n mein dilchaspi lein, muhalley ki behetri kay liye koi kaam karein, logon ki khidmat karein, boorho’n ki madad karein.
Amooman fard kisi ek khaas jagah musht zani karta hai, phir woh jab bhi uss jagah jata hai to woh bey ikhtiyar musht zani kar leta hai, chunancha aaenda jab bhi musht zani karna chahein to jagah badal lein. Iss sey musht zani ki ta’adaad (frequency) kam ho jaey gi.
Aksar auqaat fard ek khaas waqt per musht zani k arta hai amooman naujawan raat ko kartey hain, aaenda raat kay bajaey subah karein, chund dino’n kay ander musht zani ki ta’adaad kafi kam ho jaey gi.Istasna (exception) ka istemaal kar lein yani note karein kay jab aap musht zani nahin kartey to kya kartey, phir wahi mazeed karein, maslan ek larkey ko jab bbhi musht zani ki khwahish hoti to woh koi mazhabi kitab parhney lagta, doston sey milney julney chala jata waghaera. Isey kaha jaey ga kay woh inn cheezon ko zyada karey to uski yeh aadat bohut kam ho jaey gi.
Jab bhi musht zani ki khwahish ho to laziman naey kaprey pehnein [hir musht zani karein.