Neem K Faide In Urdu
mashoor hy kay Neem ka tree taste mein sakht karhwa aur benefits ke lihaz se bohat sweet hota hai.Neem ke tamam parts patte, phool, phal, chaal, ko as a herbal medicine use kiye jate hain. Yahan tak ke is ka saya bhi benefit hai. Neem ki branches se miswak karna mou ki gandagi khatam karna hai. teeth ko saaf aur keerhe ko door karta hai. Neem ke leaves bohat masfi khoon(blood pure) hai. Taqriban 7 masha le kar 7 kali mirchon ke sath pees chaan ka rpeene se kharish, daad, phore, phunsiyan hatta ke korh ko bhi faida karta hai.
Neem ki konplein pees kar lagane se garmi daney marr jate hain.
Neem ke patte dard ko door karte aur phore phunsiyon ko araam karte hain.
Khujli (rashes)mein Neem ke Neem garam pani se nahana chahiye. Zakhmon ko joshande se dhona chahiye. Zakham thek ho jaenge.
Neem ke patton(leaves) ko jala kar sarson ke oil mein mila kar gholein. Jab wo marham sa ho jae to zakhmon par lagae. In ko mawaad se pak saaf kar ke bohat jald thek kar deta hai.Neem ki paki nibolityan choosne se khoon saaf hone ke ilawa pait ke keerhe bhi marr jate hain.