Maiday Ki Kamzori Ka elaj
Maiday Ki Kamzori Ka elaj karny sy pehly hamin yeh janna zarori hy ki Maiday Ki Kamzori Ka elaj ki wajaha kiya hy
Hamray jism kay her hissay ki tarha maida ya stomach bhi aik mukamil machines hai jis ka kam khoraq ko hazm kana or jism kay baqi hisoo kay istamal kay qabil banana hai. Agar yeh maida ya stomach kam karna chor day tou phir jism ka koie bhi hisa mehfooz nahi rahta.
معدہ کے دیگر امراض کے نسخے نوٹ کر نے کے لیئے یہاں کلک کریں
Jism ka sara nizam mukhtalif kam karta hai or maiday ka kam jism kay liyay taqat ka hasool hai, jo who khoraq say layta hai. Likan agar khoraq mutawazun na ho or kafi arsay tak junck food pay guzara ho tou maiday per is kay asarat aanay shuro ho jatay hai or saray jism ko is ka nuksan puhanchta hai.
Maiday ki sehut kay liyay zaroori hai kay mutawazun khoraq khaie jai or zaida chickni or mushkil say hazm honay wali cheezo say bacha jai.
Maiday ko din may kam iz kum adha waqt arram bhi milna chahiyay, is kay liyay hamay apnay khano kay doran waqfa zaroor dayna chahiyay. Subh kay nashtay ko badshaho ki tarha yani khob dut kar khana chaiyay or dopahar kay khanay ko buhut hi light hona chahiya. Raat ko sonnay say 2 say 3 ghantay pahlay khana kha layna chahiyay takay sonay kay doran maida ko bhi sakoon mil jai or aglay din kay liyay hamara maida bhi fresh or tayar ho.
Totkay for Maiday Ki Kamzor
1-Woh sabzian or phul khas tour par jin may fiber ki miqdar zaida hoti hai maiday kay liyay buhut mufeed hai.
2-Khanay say pahlay pani penay say over eating say bacha ja sakta hai jis say maida bhar jata hai or bhook kum hoti hai.
3-Khanay kay doran pani peena say itna nuqsan nahi hota jitna khnay kay baad pani peenay say hota hai.
4-Papaya maida ki sahut kay liyay buhut acha phul hai. Hazmay ko durst karta hai or sath hi jism ko sehutmund bhi karta hai.wazan ko kum bhi karta hai.
5-Khanay kay baad sonf khanay say maiday ko khana hazm kanay mey asani hojati hai or khorak jism ka acha hisa banti hai.
6-Sham ki chia ki jaga agr kabhi kahwa pi liya jai tou yeh bhi maiday ki sehut kay liyay buhut mufeed hai.
7-Green tea kay elawa bhi dosray kahway muslan lemon grass tea or adrak ka kahwa wagaira maiday ki safie or sehut kay liyay buht azmoda nuskha hai.
8-Maiday k dard yani stomach ache k liye kela , chawal, double roti yani toasts, adrak , naryal ka pani behtareen chezain hain.
9-12-15 minut ki walk bhi stomach ki kai problems main faida deti hai. Agar yeh walk tez yani briskly kar saken tu aur bhi acha hai.
10-Golai (circular motion) main pait ko ihestegee se 5-7 mintues dabana bhi Maiday Ki Kamzori Ka elaj aur maiday k dard main mofeed hota hai
11-Maiday Ki Kamzori Ka elaj ka liyaya behtar hy k Hamesha thori bhook rakh kar khaen yani kabhi bhi maida bohat ziada na bharaen