Jab khoon mein shakkar ki satah kam hone ki alamaat zahir hone lagein to is taraf fori tawajjah dena zaroori hota hai.
Hamein is baat ka ilm hona chahiye keh hum is achanak emergency mein kia aqdamat karein hypoglycemia (khoon mein sugar ki satah mein kami) ke mariz ko fori aur tezi se tibbi imdad deni chahiye. Aksar ziabitus ke marizon ko is baat ka tajurbah hota hai keh in ki shkkar ki moqdar kb km hona shuru hojati hai tahum agar woh is baat ko nazar andaz kar dete hain to is baat ke imkanat barh jate hain keh Hypoglycemia mein izafah ho jaye ga aur woh puri zindagi ke liye aik mustaqil bimari ki surat bn jaye ga. Agar is ki taraf fori tawajjah na di jaye aur is ko dururs tarike se na treat kia jaye to hypoglycemia ke natijah mein mariz Coma mein chala jata hai. Mustaqil tor par is ka aasabi nizam (Nervous system) kharab ho jata hai, baaz dafa operation karwana parta hai. Jb keh ilaj mein ta kher se mot waqa ho jati hai.